Thursday, December 07, 2006

sunsets in delhi

shaam se dhalta suraj dekh rahi hoon
apne saath saath,
aasma ka bhi rang badalta hai....
neele se sunehra, sunehri se narangi
narangi se lal hote hote
...kahin gagan ke andhero mein,
kho jaata hai aasma....
kahin koi door ki imaratein
chote chote machis ke dabbo se..
meri ciggeratte ka dhuan,
nazro ko aur dhundhla karta sa...
aankhein band karti hoon
sochti hoon thama hai tera haath.
mere paas hi baitha hai tu....
mujhe dekhta hua.....
yeh dekhta hua
ki shaam ke rango ke saath
meri aankho ka rang
badalta hai ya nahi...
khush hai meri palke ya bheegi hui!
tera chehra nazr aata hai
mujhse mazaak karta hua,
mujhe chedne ke naye tarike khojta hua,
tera chehra nazr aata hai
fir kahin imarato ke peeche khitij pe
suraj jaisa dhal jaata hai
meri duniya mein raat ki chadar daal.....
sulagti hui ciggarette ki
ek akhri kash leke
uthi hoon wahan se
der shaam ho gayi hai sardiyo ki
footpath ki battiya jal chuki hain
us roshi ke chubhne se
aankho ki nami jhilmila uthti hai
itna keh sakti hoon....
dhuan se nahi .....

1 comment:

All Is Whole said...

its touching and awesome