Sunday, December 24, 2006

मेरी जिन्दगी का वीराना इतना ज़्यादा
कि आज याद भी आके लौट जाती है,
कि ठहरने कि जगह नही इस कोने में
अकेलापन दिल को छोटा कर गया है...

winter sun

आज सूरज सोने का नहीं
चाँदी का है...
शायद चाँद से, अब वो भी जलने लगा हो
दिन भर अकेले उब गया हो
अन्धेरियों में रहने की तमन्ना जगी हो आज....
चाँदी का रंग लगा के
निशा को समझाने की कोशिश कर रहा है
की आज वोह उसके साथ रहे ....
अपने सितारों के ओढ़ने में छिपके आये....
निशा हसी...
बोली ..."चाँद तो बन जाओगे,
चांदनी की ठंडक कहाँ?
वोह दाग कहाँ?"

Thursday, December 07, 2006

sunsets in delhi

shaam se dhalta suraj dekh rahi hoon
apne saath saath,
aasma ka bhi rang badalta hai....
neele se sunehra, sunehri se narangi
narangi se lal hote hote
...kahin gagan ke andhero mein,
kho jaata hai aasma....
kahin koi door ki imaratein
chote chote machis ke dabbo se..
meri ciggeratte ka dhuan,
nazro ko aur dhundhla karta sa...
aankhein band karti hoon
sochti hoon thama hai tera haath.
mere paas hi baitha hai tu....
mujhe dekhta hua.....
yeh dekhta hua
ki shaam ke rango ke saath
meri aankho ka rang
badalta hai ya nahi...
khush hai meri palke ya bheegi hui!
tera chehra nazr aata hai
mujhse mazaak karta hua,
mujhe chedne ke naye tarike khojta hua,
tera chehra nazr aata hai
fir kahin imarato ke peeche khitij pe
suraj jaisa dhal jaata hai
meri duniya mein raat ki chadar daal.....
sulagti hui ciggarette ki
ek akhri kash leke
uthi hoon wahan se
der shaam ho gayi hai sardiyo ki
footpath ki battiya jal chuki hain
us roshi ke chubhne se
aankho ki nami jhilmila uthti hai
itna keh sakti hoon....
dhuan se nahi .....

Wednesday, December 06, 2006

khat ....fir se

ginke rakhti hoon tere likhe khat
aaj ek kam thha unme se
dekha to mez ke paas ki khidki khuli hui thhi
koi jhonka aaya hoga aur uda le gaya hoga
kahin anant mein lawaris sa....
koi padhe ......to bematlab sa hi lagege usko
uske lafs bas mera hi man samajhta hai,
us khat mein bhara pyar
sirf meri hi rooh mein basi hai
kal meri adhi rooh to le gaya thha tu apne saath
aaj iska ek tukda aur khone chala hai apne ko
aaj teri ek aur yaad gum ho gayi bhid mein,......
maili ho gayi kisi ke kadme tale......